Sagar Siddiqui


azmat-e-zindagi ko bech diyaa

azmat-e-zindagi ko bech diyaa
ham ne apani Khushi ko bech diyaa

chashm-e-saaqi ke ik ishaare pe
umr ki tishnagi ko bech diyaa

rind jaam-o-subuu pe hasate hain
shaiKh ne bandagi ko bech diyaa

rah_guzaaron pe luT gai raadhaa
shaam ne baaNsurii ko bech diyaa

jag-magaate hain vahshaton ke dayaar
aql ne aadami ko bech diyaa

lab-o-ruKhsaar ke ae-vaz ham ne
sitvat-e-Khusravi ko bech diyaa

ishq behar-ropiyaa hai ae 'Sagar'
aap ne saadagi ko bech diyaa


baat phoolon ki sunaa karte thay

baat phoolon ki sunaa karte thay
ham kabhi sher kahaa karte thay

mashaale.n leke tumhaare Gam ki
ham andheron mein chalaa karte the

ab kahaaN aisi tabiyat vaale
choT khaa kar jo duaa karte thay

tark-e-ehasaas-e-muhabbat mushkil
haaN magar ahal-e-vafaa karte thay

bikhari bikhari zulfoon vaale
qaafilay rok liyaa karte thay

aaj gulshan mein shagoof-e-saaGar
shikave baad-e-sabaa se karte thay


bargashtaa-e-yazdaa.N se kuch bhool hui hai

bargashtaa-e-yazdaa.N se kuch bhool hui hai
bhatkey hoye insaan se kuchh bhool hui hai

taa had-e-nazar shole hi shole hain chaman mein
phoolon ke nigeh-baan se kuch bhool hui hai

jis ahad mein lut jaaye faqiroon ki kamaai
us ahad ke sultaan se kuch bhool hui hai

hanstey hain meri sorat-e-maftoon pe shagoofey
mere dil-e-naadaan se kuch bhool hui hai

hooron ki talab aur mai-o-saaGar se hai nafrat
zaahid tere irfaan se kuch bhool hui hai


ye jo divaane se do chaar nazar aate hain

ye jo diivaane se do chaar nazar aate hain
in mein kuch saahib-e-asraar nazar aate hain

teri mahfil kaa bharam rakhte hain so jaatey hain
varna ye log to bedaar nazar aate hain

dor tak koi sitara hai na koi jugno
marg-e-ummid ke aasaar nazar aate hain

mere daaman mein shararon ke siva kuch bhi nahin
aap phoolon ke Kharidaar nazar aate hain

kal jise chu nahin sakati thi farishton ki nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hain

hashr mein kaun gavaari meri degaa 'Sagar'
sab tumhaare hii taraf_Daar nazar aate hain


vo bulayein to kyaa tamaashaa ho

vo bulaayein to kyaa tamaashaa ho
ham na jaayein to kyaa tamaashaa ho

ye kinaaron se khelane vaale
Doob jaayein to kyaa tamaashaa ho

bandaa-parvar jo ham pe guzari hai
ham bataayein to kyaa tamaashaa ho

aaj ham bhi teri vafaaon par
muskuraayein to kyaa tamaashaa ho

teri surat jo itefaaq se ham
bhool jaayein to kyaa tamaashaa ho

vaqt ki chand sa'atein 'Sagar'
lauT aayein to kyaa tamaashaa ho


rudaad-e-muhabat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye

rudaad-e-muhabat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye
do din ki masarrat kya kahiye kuch yaad rahi kuchh bhool gaye

jab jaam diyaa thaa saaqii ne jab daur chalaa thaa mahafil mein
vo hosh ki sa'at kyaa kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye

ehasas ke maiKhaane mein kahaN ab fikr-o-nazar ki qandilein
aalam ki shiddat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye

ab apni haqiqat bhi "Sagar" berabt kahani lagati hai
duniya ki haqiqat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin

hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin
mere naghmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahin

maine palakon se dar-e-yaar pe dastak di hai
main vo saahil hooN jise koi sadaa yaad nahin

maine jin ke liye raahon mein bichayaa thaa lahoo
ham se kahate hain vahi ahad-e-vafaa yaad nahin

kaise bhar aain sar-e-shaam kisi ki aaNkhein
kaise thar-raye charaaGhon ki ziyaa yaad nahin

sirf dhundhalaye sitaaron ki chamak dekhi hai
kab hua kaun hua kis se Khafaa yaad nahin

zindagi jabr-e-musalasal ki tarah kaTati hai
jaane kis jurm ki paai hai sazaa yaad nahin

aao ik sajdaa karein aalam-e-madhahoshi mein
kahtey hain ke "Sagar" ko Khudaa yaad nahin


ek vaadaa hai kisi kaa jo vafaa hota nahin

ek vaadaa hai kisi kaa jo vafaa hota nahin
marmari taaron bhari raaton mein kya hota nahin

ji mein ata hai ulaT dein un ke chehare se naqaab
hausalaa karate hain lekin hausalaa hotaa nahin

shamaa jis ki aabaruu par jaan de de jhoom kar
vo patangaa jal to jaataa hai fanaa hota nahin


dukh dard ki sauGhaat hai duniyaa teri kya hai

dukh dard ki sauGhaat hai duniyaa teri kyaa hai
ashkon se bhari raat hai duniyaa teri kyaa hai

kuch log yahaN noor-e-sahar DhooNDh rahe hain
tareek si ik raat hai duniyaa teri kyaa hai

paband-e-mashiyat hai tanafus bhi nazar bhi
ik jaziyaa-e-lamhaat hai duniyaa teri kyaa hai

taqadir ke chehare ki shikan dekh raha hooN
aina-e-haalaat hai duniyaa teri kyaa hai

majrooh-e-taqaddus hai taqaddus ki haqiqat
roodaad-e-Kharaabaat hai duniyaa teri kyaa hai

"Sagar" mein chalakatey hain samavaat ke israar
saaqi ki karaamaat hai duniyaa teri kyaa hai


chupaaye dil mein Ghamon kaa jahaan baiThey hain

chupaaye dil mein Ghamon kaa jahaan baiThey hain
tumhari bazm mein ham bezabaan baiThey hain

ye aur baat ki manzil pe ham pohaNch na sake
magar ye kam hai ki raahon ko chaan baiThey hain

fuGhaaN hai dard hai soz-o-firaaq-o-daaGh-e-alam
abhi to ghar mein bohat meharbaan baiThey hain

ab aur gardish-e-taqadir kyaa sataayegi
luTa ke ishq mein naam-o-nishaan baiThey hain

vo ek lafz-e-mohabbat hi dil kaa dushman hai
jise shariat-e-ehasaas maan baiThey hain

hai maikadon ki bahaaron se dosti 'Sagar'
baraaye had-e-yaqin-o-gumaan baiThey hain>


bhooli hui sadaa hooN mujhe yaad kijiye

bhooli hui sadaa hooN mujhe yaad kijiye
tum se kahin milaa hooN mujhe yaad kijiye

manzil nahin hooN Khizr nahin rahazan nahin
manzil kaa rastaa hooN mujhe yaad kijiye

meri nigaah-e-shauq se har gul hai devataa
main ishq kaa Khudaa hooN mujhe yaad kijiye

naGhmon ki ibtidaa thi kabhi mere naam se
ashkon ki intahaa hooN mujhe yaad kijiye

gum-sum kharri hain donon jahaan ki haqiqatein
main un se kah rahaa hooN mujhe yaad kijiye

"Sagar" kisi ke husn-e-taGhaaful sha-ar ki
bahaki hui adaa hooN mujhe yaad kijiye


 

"IKHTIYAR(IQTIDAR)"
"TAQAT" AUR "DOLAT"
MILNEY K BAD LOG
"BADALTAY" NAHI
HAIN........
"BENAQAB HO JATEY HAIN"
[HAZRAT ALI A.S]
 
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free