Nasir Kazmi

safar-e-manzil-e-shab yaad nahin

safar-e-manzil-e-shab yaad nahin
log ruKhsat huye kab yaad nahin

dil men har vaqt chubhan rahati thi
thi mujhe kis ki talab yaad nahin

vo sitara thi ke shabanam thi ke phool
ik sorat thi ajab yaad nahin

aisa ulajhaa hooN Gham-e-duniya mein
ek bhi Khvaab-e-tarab yaad nahin

bhoolate jaate hain maazi ke dayaar
yaad aayein bhi to sab yaad nahin

ye haqiqat hai ke ahbaab ko ham
yaad hi kab thay ke ab yaad nahin

yaad hai sair-e-charaaGhaaN "Nasir"
di ke bujhane ka sabab yaad nahin

niyat-e-shauq bhar na jaaye kahin

niyat-e-shauq bhar na jaaye kahin
tu bhi dil se utar na jaaye kahin

aaj dekhaa hai tujhe der ke baad
aaj kaa din guzar na jaaye kahin

na milaa kar udaas logoon se
husn teraa bikhar na jaaye kahin

aarzo hai ke tu yahaaN aaye
aur phir umr bhar na jaaye kahin

ji jalata hooN aur ye sochtaa hooN
rayegaaN ye hunar na jaaye kahin

aao kuch der ro hi lein 'Nasir'
phir ye dariya utar na jaaye kahin

kisi kali ne bhi dekha na aaNkh bhar ke mujhe

kisi kali ne bhi dekha na aaNkh bhar ke mujhe
guzar gai jaras-e-gul udaas kar ke mujhe

main so raha tha kisi yaad ke shabistaaN mein
jagaa ke chor gaye qaafiley sahar ke mujhe

main ro raha tha muqaddar ki saKht raahon mein
uraa ke le gayaa jaado teri nazar kaa mujhe

main teri dard ki tuGhiyaniyon mein Doob gaya
pukaarate rahe taare ubhar ubhar ke mujhe

tere firaaq ki raatein kabhi na bholein gi
maze mile inhien raaton mein umr bhar ke mujhe

zaraa si der Thahrane de ae Gham-e-duniya
bula raha hai koi baam se utar ke mujhe

phir aaj aai thi ik mauj-e-havaa-e-tarab
suna gai hai fasaane idhar-udhar ke mujhe

hoti hai tere naam se vahashat kabhi kabhi

hoti hai tere naam se vahashat kabhi kabhi
bar-ham hui hai yuN bhi tabiyat kabhi kabhi

ae dil kise naseeb ye taufiiq-e-iztiraab
milti hai zindagi mein ye rahat kabhi kabhi

tere karam se ae alam-e-husn-e-aafrien
dil ban gaya hai dost ki Khilvat kabhi kabhi

dil ko kahaaN naseeb ye taufiiq-e-iztiraab
milati hai zindagi mein ye rahat kabhi kabhi

josh-e-junooN mein dard ki tuGhayaniyon ke saath
ashkon mein Dhal gai teri surat kabhi kabhi

tere qareeb rah ke bhi dil mutma-in na tha
guzari hai mujh pe bhi ye qayamat kabhi kabhi

kuch apna hosh tha na tumhara Khayal tha
yuN bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi

ae dost ham ne tark-e-muhabbat ke bavajod
mahsoos ki hai teri zarorat kabhi kabhi

gaye dinon ka suraGh lekar kidhar se aya kidhar gaya vo

gaye dinon ka suraGh lekar kidhar se aya kidhar gaya vo
ajeeb manoos ajnabi tha mujhe to hairaan kar gaya vo

Khushi ki rut ho ke Gham ka mausum nazar use Dhondhati hai har dam
vo bo-e-gul tha ke naGmaa-e-jaan mere to dil mein utar gaya vo

vo maikade ko jagane vala vo raat ki neend urane vala
na jane kya us ke ji mein aai ki shaam hote hi ghar gaya vo

kuch ab sambhalane lagi hai jaaN bhi badal chalaa rang asmaaN bhi
jo raat bhari thi Tal gai hai jo din karaa tha guzar gaya vo

shikastaa-pa rah mein khara hooN gaye dinon ko bola raha hooN
jo qafila mera ham-safar tha misl-e-gard-e-safar gaya vo

bas ek manzil hai bol-havas ki hazar raste hain ahal-e-dil ke
ye hi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya maiin Thahar gaya vo

vo jis ke shane pe haath rakh kar safar kiya tune manzilon ka
teri gali se na jaane kyuN aaj sar jhukaye guzar gaya vo

vo hijr ki raat ka sitaara vo ham-nafas ham-suKhan hamara
sada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya vo

bas ek moti si chhab dikhaakar bas ek miThi si dhun suna kar
sitara-e-sham ban ke aya barang-e-Khayal-e-sahar gaya vo

na ab vo yadoon ka charhata dariya na fursaton ki udas barkha
yuN h zara si kasak hai dil mein jo zaKhm gahra tha bhar gaya vo

vo raat ka benava musafir vo tera shayar vo tera 'Nasir'
teri gali tak to ham ne dekha phir na jaane kidhar gaya vo

dil mein ik lahar si uThi hai abhi

dil mein ik lahar si uThi hai abhi
koi taazaa hava chali hai abhi

shor barpa hai Khana-e-dil mein
koi divaar si giri hai abhi

kuch to nazuk mizaaj hain ham bhi
aur ye choT bhi nai hai abhi

bhari duniya mein ji nahin lagta
jaane kis cheez ki kami hai abhi

tu shareek-e-suKhan nahin hai to kya
ham-suKhan teri Khamoshi hai abhi

yaad ke be-nishaaN jaziroon se
teri aavaaz aa rahi hai abhi

shahar ki becharaaGh galiyon mein
zindagi tujh ko Dhondhati hai abhi

so gaye log us haveli ke
ek khirki magar khuli hai abhi

tum to yao abhi se uTh baithey
shahar mein raat jaagati hai abhi

vaqt achcha bhi aayega 'Nasir'
Gham na kar zindagi pari hai abhi

dil dharakne ka sabab yaad aya

dil dharakne ka sabab yaad aya
vo teri yaad thi ab yaad aya

aaj mushkil tha sambhalna ai dost
tu musibat mein ajab yaad aya

din guzara tha bari mushkil se
phir tera vada-e-shab yaad aya

tera bhoola hua paimaan-e-vafaa
mar raheinge agar ab yaad aya

phir kai log nazar se guzare
phir koi shahar-e-tarab yaad aya

haal-e-dil ham bhi sunatey lekin
jab vo ruKhsat hoye tab yaad aya

baiTh kar saya-e-gul mein 'Nasir'
ham bohat roye vo jab yaad aya

apni dhun mein rahta hooN

apni dhun mein rahta hooN
main bhi tere jaisa hooN

o pichali rut ke saathi
ab ke baras main tanha hooN

teri gali mein sara din
dukh ke kankar chunta hooN

mujh se aaNkh milaye kon
main tera aina hooN

mera diya jalaye kon
main tera Khali kamra hooN

tu jivan ki bhari gali
main jangal ka rasta hooN

apni lahar hai apna rog
dariya hooN aur pyasa hooN

ati rut mujhe royegi
jati rut ka jhoNka hooN

aaj to be-sabab udaas hai ji

aaj to be-sabab udaas hai ji
ishq hota to koi baat bhi thi

jalta phirta hooN kyuN do-pahron mein
jaane kya cheez kho gai meri

vahin phirta hooN main bhi Khaak ba-sar
is bhare shahar mein hai ek gali

chupta phirta hai ishq duniyaa se
phailti jaa rahi hai rusvaai

ham-nashin kya kahooN ke vo kya hai
chor ye baat neend urney lagi

aaj to vo bhi kuch Khaamosh saa tha
main ne bhi us se koi baat na ki

ek dam us ke haath choom liye
ye mujhe baiThe baiThe kya sojhi

tu jo itna udaas hai 'Nasir'
tujhe kya ho gaya bata to sahi

"IKHTIYAR(IQTIDAR)"
"TAQAT" AUR "DOLAT"
MILNEY K BAD LOG
"BADALTAY" NAHI
HAIN........
"BENAQAB HO JATEY HAIN"
[HAZRAT ALI A.S]
 
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free