Momin Khan Momin
vo jo ham mein tum mein qarar tha tumhein yad ho ke na yad ho
vo jo ham mein tum mein qarar tha tumhein yad ho ke na yad ho
vohi yani vada nibaah ka tumhein yad ho ke na yad ho
vo naye gile vo shikayatein vo maze maze ki hikayatein
vo har ek bat pe rooThna tumhein yad ho ke na yad ho
koi bat aisi agar hui jo tumhare ji ko buri lagi
to bayaN se pahle hi bhoolna tumhein yad ho ke na yad ho
suno zikr hai kai saal kaa, koi vada mujh se tha aap ka
vo nibahne ka to zikr kya, tumhein yad ho ke na yad ho
kabhi ham mein tum mein bhi chah thi, kabhi ham se tum se bhi raah thi
kabhi ham bhi tum bhi the ashnaa, tumhein yaa ho ke na yad ho
hue ittefaq se gar baham, vo vafaa jataane ko dam-ba-dam
gila-e-malamat-e-arqabaa, tumhein yad ho ke na yad ho
vo jo lutf mujh pe thay beshtar, vo karam ke hath mere hath par
mujhe sab hain yad zara zara, tumhein yad no ki na yad ho
kabhi baiThe sab hain jo ro-ba-ro to isharaton hi se guftagu
vo bayan shauq ka barmala tumhein yad ho ki na yad ho
vo bigarna vasl ki raat ka, vo na mananaa kisi baat ka
vo nahin nahin ki har aan adaa, tumhein yad ho ki na yad ho
jise aap ginte thay ashnaa jise aap kahate thay bavafa
main vahi hooN "Momin"-e-mubtalaa tumhein yad ho ke na yad ho
Thaani thi dil mein ab na mileinge kisi se ham
Thaani thi dil mein ab na mileinge kisi se ham
par kya karey ke ho gayey nachaar ji se ham
ham se na bolo tum ise kya kahte hain bhala
insaaf kije poochate hain aap hi se ham
kya gul khilegaa dekhiye hai fasl-e-gul to door
aur so-e-dasht bhaagte hain kuch abhi se ham
kya dil ko le gaya koi begana ashnaa
kyuN apane ji ko lagte hain kuch ajanbi se ham
roya kareinge aap bhi pahroon isi tarah
roya kareinge aap bhi paharoon isi tarah
aTkaa kahin jo aap ka dil bhi meri tarah
na taab hijr mein hai na araam vasl mein
kambaKht dil ko chain nahin hai kisi tarah
gar chup rahein to Gham-e-hijraN se chuT jayeiN
kahte to hain bhale ki vo lekin buri tarah
na jaye vaaN bane hai na bin jaaye chain hai
kya kijiye hamein to hai mushkil sabhi tarah
lagati hain galiyaaN bhi teri mujhe kya bhali
qurbaan tere, phir mujhe kah le isi tarah
hooN jaaN-balab butaan-e-sitamagar ke haath se
kya sab jahaN mein jite hain "Momin" isi tarah
asar usko zara nahin hota
asar usko zara nahin hota
ranj rahat faza nahin hota
tum hamare kisi tarah na hoye
varna duniya mein kya nahin hota
narasai se dam ruke to ruke
main kisi se Khafa nahin hota
tum mere paas hote ho goya
jab koi dosara nahin hota
haal-e-dil yaar ko likhooN kyon kar
haath dil se judaa nahin hota
kyon sune arz-e-muztarib ae 'Momin'
sanam aaKhir Khudaa nahin hota
|
"IKHTIYAR(IQTIDAR)"
"TAQAT" AUR "DOLAT"
MILNEY K BAD LOG
"BADALTAY" NAHI
HAIN........
"BENAQAB HO JATEY HAIN"
[HAZRAT ALI A.S]
|
|