Anwar Masood

jis tarah ki hain ye divarein ye dar jaisa bhi hai

jis tarah ki hain ye divarein ye dar jaisa bhi hai
sar chipane ko mayasar to hai ghar jaisa bhi hai

us ko mujh se mujh ko us se nisbatein hain beshumaar
meri chahat ka hai mahvar ye nagar jaisaa bhi hai

chal para hooN shauq-e-beparvaah ko murshad maan kar
rastaa pur-pech hai yaa pur-Khatar jaisaa bhi hai

sab gavara hai thakan saari dukhan saari chubhan
ek Khushbo ke liye hai ye safar jaisa bhi hai

vo to hai maKhsoos ik teri mohabbat ke liye
tera 'Anwar' baa-hunar yaa be-hunar jaisa bhi hai


 

"IKHTIYAR(IQTIDAR)"
"TAQAT" AUR "DOLAT"
MILNEY K BAD LOG
"BADALTAY" NAHI
HAIN........
"BENAQAB HO JATEY HAIN"
[HAZRAT ALI A.S]
 
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free